vo shakhs meri rasai se maavra bhi na tha | वो शख़्स मेरी रसाई से मावरा भी न था

  - Jafar Baluch

vo shakhs meri rasai se maavra bhi na tha
bashar bhi khair na hoga magar khuda bhi na tha

kaha shu'ur ne us waqt harf-e-qum mujh se
ki la-shu'ur jagaane se jaagta bhi na tha

ajab thi saa'at-e-aaghaaz-e-gulsitaan-bandi
naved-e-gul bhi na thi muzda-e-saba bhi na tha

vo ibtidaa-e-safar ab bhi yaad aati hai
kisi mein meri rifaqat ka hausla bhi na tha

ghalat-numa-o-ghalat-been hain baaz aaine
is e'itraaz ko naqqaad maanta bhi na tha

shaheed-e-zauq-e-tagazzul tha kam-sukhan jafar
ghazal ki baat na chalti to bolta bhi na tha

वो शख़्स मेरी रसाई से मावरा भी न था
बशर भी ख़ैर न होगा मगर ख़ुदा भी न था

कहा शुऊ'र ने उस वक़्त हर्फ़-ए-क़ुम मुझ से
कि ला-शुऊ'र जगाने से जागता भी न था

अजब थी साअ'त-ए-आग़ाज़-ए-गुलसिताँ-बंदी
नवेद-ए-गुल भी न थी मुज़्दा-ए-सबा भी न था

वो इब्तिदा-ए-सफ़र अब भी याद आती है
किसी में मेरी रिफ़ाक़त का हौसला भी न था

ग़लत-नुमा-ओ-ग़लत-बीं हैं बाज़ आईने
इस ए'तिराज़ को नक़्क़ाद मानता भी न था

शहीद-ए-ज़ौक़-ए-तग़ज़्ज़ुल था कम-सुख़न 'जाफ़र'
ग़ज़ल की बात न चलती तो बोलता भी न था

  - Jafar Baluch

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jafar Baluch

As you were reading Shayari by Jafar Baluch

Similar Writers

our suggestion based on Jafar Baluch

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari