har ek haal mein chalne se jis ko kaam raha | हर एक हाल में चलने से जिस को काम रहा

  - Jafar Baluch

har ek haal mein chalne se jis ko kaam raha
vo shakhs qaaid-e-yaaraan-e-tez-gaam raha

safar alaamat-e-hasti safar daleel-e-hayaat
khusa vo log safar jin ka na-tamaam raha

hayaat-e-gul ka hayaat-e-chaman hai paimaana
amar hai phool chaman ko agar davaam raha

bayaaz-e-mehr nigal kar bhi raat raat rahi
siyaahkaar ka chehra siyaah-faam raha

hayaat-o-maut ke sangam pe jee rahe hain ham
hamaara jashn-e-tarab bhi gham-iltizaam raha

zamaana khud ko mukhaatab samajh na le mera
main apne aap se dar-asl ham-kalaam raha

ajeeb jafar'-e-farkhanda-jaan ka mashrab hai
ki rind ho ke bhi khush-bakht nek-naam raha

हर एक हाल में चलने से जिस को काम रहा
वो शख़्स क़ाइद-ए-यारान-ए-तेज़-गाम रहा

सफ़र अलामत-ए-हस्ती सफ़र दलील-ए-हयात
ख़ुशा वो लोग सफ़र जिन का ना-तमाम रहा

हयात-ए-गुल का हयात-ए-चमन है पैमाना
अमर है फूल चमन को अगर दवाम रहा

बयाज़-ए-मेहर निगल कर भी रात रात रही
सियाहकार का चेहरा सियाह-फ़ाम रहा

हयात-ओ-मौत के संगम पे जी रहे हैं हम
हमारा जश्न-ए-तरब भी ग़म-इल्तिज़ाम रहा

ज़माना ख़ुद को मुख़ातब समझ न ले मेरा
मैं अपने आप से दर-अस्ल हम-कलाम रहा

अजीब 'जाफ़र'-ए-फ़र्ख़न्दा-जाँ का मशरब है
कि रिंद हो के भी ख़ुश-बख़्त नेक-नाम रहा

  - Jafar Baluch

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jafar Baluch

As you were reading Shayari by Jafar Baluch

Similar Writers

our suggestion based on Jafar Baluch

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari