main to ik vajood-e-khyaal hoon | मैं तो इक वजूद-ए-ख़याल हूँ

  - Jagdish Prakash

main to ik vajood-e-khyaal hoon
mujhe jis tarah se bhi soch lo
main yaqeen bhi hoon main gumaan bhi hoon
main yahan bhi hoon main wahan bhi hoon
kabhi fikr mein kabhi zikr mein
kabhi josh mein kabhi hosh mein
kabhi khud se khud ki talash mein
kabhi main nahin kabhi jaan nahin
ki main mubtala-e-junoon hoon
main khudi mein khud ka sukoon hoon
yahi ishq hai mera kaarwaan
main kidhar nahin main kahaan nahin
mera yaar mujh mein main yaar mein
main hoon be-khudi ke khumaar mein
mera yaar mujh mein hai raqs-zan
main ravaan ravaan bhi ravaan nahin
meri raahaton mein tu jalva-gar
meri vahshaton ka tu hum-safar
mera hijr tu mera vasl tu
mere ghar ka ek pata hai bas
jahaan tu nahin main wahan nahin

मैं तो इक वजूद-ए-ख़याल हूँ
मुझे जिस तरह से भी सोच लो
मैं यक़ीं भी हूँ मैं गुमाँ भी हूँ
मैं यहाँ भी हूँ मैं वहाँ भी हूँ
कभी फ़िक्र में कभी ज़िक्र में
कभी जोश में कभी होश में
कभी ख़ुद से ख़ुद की तलाश में
कभी मैं नहीं कभी जाँ नहीं
कि मैं मुब्तला-ए-जुनून हूँ
मैं ख़ुदी में ख़ुद का सुकून हूँ
यही इश्क़ है मिरा कारवाँ
मैं किधर नहीं मैं कहाँ नहीं
मिरा यार मुझ में मैं यार में
मैं हूँ बे-ख़ुदी के ख़ुमार में
मिरा यार मुझ में है रक़्स-ज़न
मैं रवाँ रवाँ भी रवाँ नहीं
मिरी राहतों में तू जल्वा-गर
मिरी वहशतों का तू हम-सफ़र
मिरा हिज्र तू मिरा वस्ल तू
मिरे घर का एक पता है बस
जहाँ तू नहीं मैं वहाँ नहीं

  - Jagdish Prakash

Faith Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagdish Prakash

As you were reading Shayari by Jagdish Prakash

Similar Writers

our suggestion based on Jagdish Prakash

Similar Moods

As you were reading Faith Shayari Shayari