na theri jab koi taskin-e-dil ki shakl yaaron mein | न ठेरी जब कोई तस्कीन-ए-दिल की शक्ल यारों में

  - Jalal Lakhnavi

na theri jab koi taskin-e-dil ki shakl yaaron mein
to aa nikle tadap kar ham tumhaare be-qaraaron mein

kisi ke ishq mein dard-e-jigar se dil ye kehta hai
idhar bhi aa nikalna ham bhi hain ummeedwaaron mein

vo maatam bazm-e-shaadi hai tumhaari jis mein shirkat ho
vo marna zindagi hai tum jahaan ho sogwaaron mein

ta'alli se ye nafrat hai ki ba'd-e-marg khaak apni
agar uthati bhi hai ja baithti hai khaaksaaron mein

hamaare dil ne ham se bewafaai kar ke kya paaya
wahan bhi ja ke thehraaya gaya be-e'tibaaron mein

vo kheenchunga jalaal aahen ki us ki khaak uda denge
falak ne pees daala hai samajh kar khaaksaaron mein

न ठेरी जब कोई तस्कीन-ए-दिल की शक्ल यारों में
तो आ निकले तड़प कर हम तुम्हारे बे-क़रारों में

किसी के इश्क़ में दर्द-ए-जिगर से दिल ये कहता है
इधर भी आ निकलना हम भी हैं उम्मीदवारों में

वो मातम बज़्म-ए-शादी है तुम्हारी जिस में शिरकत हो
वो मरना ज़िंदगी है तुम जहाँ हो सोगवारों में

तअ'ल्ली से ये नफ़रत है कि बा'द-ए-मर्ग ख़ाक अपनी
अगर उठती भी है जा बैठती है ख़ाकसारों में

हमारे दिल ने हम से बेवफ़ाई कर के क्या पाया
वहाँ भी जा के ठहराया गया बे-ए'तिबारों में

वो खींचूँगा 'जलाल' आहें कि उस की ख़ाक उड़ा देंगी
फ़लक ने पीस डाला है समझ कर ख़ाकसारों में

  - Jalal Lakhnavi

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jalal Lakhnavi

As you were reading Shayari by Jalal Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Jalal Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari