bheegi palkon pe khwaab chhod gaya
ratjagon ke azaab chhod gaya
khaar saare samet kar ik shakhs
apne peeche gulaab chhod gaya
nashsha-e-wasl ab bhi baaki hai
jaane kaisi sharaab chhod gaya
dhoondte phir rahe hain ham us ko
jab se ahad-e-shabaab chhod gaya
ahad-e-rangeen guzar gaya raashid
peeche fikr-e-hisaab chhod gaya
भीगी पलकों पे ख़्वाब छोड़ गया
रतजगों के अज़ाब छोड़ गया
ख़ार सारे समेट कर इक शख़्स
अपने पीछे गुलाब छोड़ गया
नश्शा-ए-वस्ल अब भी बाक़ी है
जाने कैसी शराब छोड़ गया
ढूँडते फिर रहे हैं हम उस को
जब से अहद-ए-शबाब छोड़ गया
अहद-ए-रंगीं गुज़र गया 'राशिद'
पीछे फ़िक्र-ए-हिसाब छोड़ गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel Arshad Khan Rashid
our suggestion based on Jaleel Arshad Khan Rashid
As you were reading Maikada Shayari Shayari