apne honton pe na shikwe na gile hain sahab
rah gaye gham so muqaddar se mile hain sahab
pas-e-zindaan sar-e-maqtal bhi sar-e-daar bhi ham
kya yahi apni wafaon ke sile hain sahab
may-kashi ko na sahi waaz ko aaye honge
may-kade mein bhi hamein shaikh mile hain sahab
ek arsa hua yun tark-e-ta'alluq ko magar
un ki yaadon ke kanwal ab bhi khile hain sahab
tab bhi bardaasht kiya ab bhi sitam kar dekhen
hont apne the sile ab bhi sile hain sahab
ye meri izzat-o-shohrat ye tarqqi ye urooj
ye meri maa ki duaon ke sile hain sahab
raashid'-e-khasta se lagti hai shanaasaai bahut
aap kya pehle kabhi us se mile hain sahab
अपने होंटों पे न शिकवे न गिले हैं साहब
रह गए ग़म सो मुक़द्दर से मिले हैं साहब
पस-ए-ज़िंदाँ सर-ए-मक़्तल भी सर-ए-दार भी हम
क्या यही अपनी वफ़ाओं के सिले हैं साहब
मय-कशी को न सही वा'ज़ को आए होंगे
मय-कदे में भी हमें शैख़ मिले हैं साहब
एक अर्सा हुआ यूँ तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ को मगर
उन की यादों के कँवल अब भी खिले हैं साहब
तब भी बर्दाश्त किया अब भी सितम कर देखें
होंट अपने थे सिले अब भी सिले हैं साहब
ये मिरी इज़्ज़त-ओ-शोहरत ये तरक़्क़ी ये उरूज
ये मिरी माँ की दुआओं के सिले हैं साहब
'राशिद'-ए-ख़स्ता से लगती है शनासाई बहुत
आप क्या पहले कभी उस से मिले हैं साहब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel Arshad Khan Rashid
our suggestion based on Jaleel Arshad Khan Rashid
As you were reading Zulm Shayari Shayari