is darja bhag daud ke itna kamaayenge | इस दर्जा भाग दौड़ के इतना कमाएँगे

  - Jaleel Arshad Khan Rashid

is darja bhag daud ke itna kamaayenge
ham zindagi ki shaam talak ghar banaayenge

pehle to zindagi ki bahut chaah thi hamein
kis ko khabar thi raah mein ye mod aayenge

kahte hain kat hi jaati hai umr-e-daraaz bhi
so mutmain hain apne bhi din beet jaayenge

mahroomiyon ke daagh na-aasooda khwaahishein
in sab ke saath ham tujhe kya munh dikhaayenge

mar kar bhi khwahishon se na mil paayegi najaat
ham khwaahish-e-bahisht ke chakkar mein aayenge

allah mehrbaan bhi aadil bhi hai jaleel
chaliye usi se chal ke zara lau lagaaenge

इस दर्जा भाग दौड़ के इतना कमाएँगे
हम ज़िंदगी की शाम तलक घर बनाएँगे

पहले तो ज़िंदगी की बहुत चाह थी हमें
किस को ख़बर थी राह में ये मोड़ आएँगे

कहते हैं कट ही जाती है उम्र-ए-दराज़ भी
सो मुतमइन हैं अपने भी दिन बीत जाएँगे

महरूमियों के दाग़ ना-आसूदा ख़्वाहिशें
इन सब के साथ हम तुझे क्या मुँह दिखाएँगे

मर कर भी ख़्वाहिशों से न मिल पाएगी नजात
हम ख़्वाहिश-ए-बहिश्त के चक्कर में आएँगे

अल्लाह मेहरबान भी आदिल भी है 'जलील'
चलिए उसी से चल के ज़रा लौ लगाएँगे

  - Jaleel Arshad Khan Rashid

Religion Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel Arshad Khan Rashid

As you were reading Shayari by Jaleel Arshad Khan Rashid

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel Arshad Khan Rashid

Similar Moods

As you were reading Religion Shayari Shayari