haadse zindagi ki alaamat hain lekin vo ik haadsa | हादसे ज़िंदगी की अलामत हैं लेकिन वो इक हादसा

  - Jameel ur Rahman

haadse zindagi ki alaamat hain lekin vo ik haadsa
ham jise maut kahte hain
kab aur kaise kahaan roo-numa ho koi jaanta hai
bila-raib koi nahin jaanta
main khud sochta hoon mujhe ek muddat se kya ho gaya hai
mere phaile hue jaagte zinda haathon ki sab ungaliyaan so chuki hain
mere larzaan labon par jamee papadiyaan barq se raakh hote hue abr par ro chuki hain
ilm o irfaan ki raah mein jaise meri duaaein asar kho chuki hain
main kya jaanta hoon
fana ke tasalsul mein koi girah daalne ke liye
harf-e-kun ki zaroorat hai jo maangne par bhi koi na dega
ki ab vo zamaanon se bahte hue khoon ka khoon-bahaa to nahin hai
vo jis ke tasarruf mein sab kuchh hai
husn-e-talab ki mujhe daad de kar agar ye kahe
khoob ho tum magar jaante ho ki tum kaun ho
tum rah-e-raftagaan ki masafat ka ik aur aaghaaz ho intiha to nahin ho
adam aur maujood ke darmiyaan ik kaddi ho khuda to nahin ho
to main kya kahunga main khud sochta hoon

हादसे ज़िंदगी की अलामत हैं लेकिन वो इक हादसा
हम जिसे मौत कहते हैं
कब और कैसे कहाँ रू-नुमा हो कोई जानता है
बिला-रैब कोई नहीं जानता
मैं ख़ुद सोचता हूँ मुझे एक मुद्दत से क्या हो गया है
मेरे फैले हुए जागते ज़िंदा हाथों की सब उँगलियाँ सो चुकी हैं
मेरे लर्ज़ां लबों पर जमी पपड़ियाँ बर्क़ से राख होते हुए अब्र पर रो चुकी हैं
इल्म ओ इरफ़ान की राह में जैसे मेरी दुआएँ असर खो चुकी हैं
मैं क्या जानता हूँ
फ़ना के तसलसुल में कोई गिरह डालने के लिए
हर्फ़-ए-कुन की ज़रूरत है जो माँगने पर भी कोई न देगा
कि अब वो ज़मानों से बहते हुए ख़ून का ख़ूँ-बहा तो नहीं है
वो जिस के तसर्रुफ़ में सब कुछ है
हुस्न-ए-तलब की मुझे दाद दे कर अगर ये कहे
ख़ूब हो तुम मगर जानते हो कि तुम कौन हो
तुम रह-ए-रफ़्तगाँ की मसाफ़त का इक और आग़ाज़ हो इंतिहा तो नहीं हो
अदम और मौजूद के दरमियाँ इक कड़ी हो ख़ुदा तो नहीं हो
तो मैं क्या कहूँगा मैं ख़ुद सोचता हूँ

  - Jameel ur Rahman

Hadsa Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Jameel ur Rahman

Similar Moods

As you were reading Hadsa Shayari Shayari