munich mein aaj christmas hai | म्यूनिख़ में आज क्रिसमस है

  - Janan Malik

munich mein aaj christmas hai
saare manaazir ne safed chadar odh rakhi hai
kamre ki khidki se aati udaasi chaahar-soo phailti ja rahi hai

andhera udaasiyon ke nohe padh raha hai

mumtiyon se fisalta nahin koi kankar

lamhe saakit ho gaye hain

almaari ke khaanon mein kuchh yaadein bikhri padi hain

saamne padi kursi jhool rahi hai

saara maahol sogwaar hai
ajeeb sa dar hai

jo aansu ban kar utar raha hai

aasmaan saath rang roshaniyaan
qahqahe saaz nagmgi

ye hujoom saal-ha-saal ki masafat hai

kenchuli badlne ka ehsaas
aankhon ki khaamoshi se athaah gehraai mein utar raha hai

main abhi laut kar nahin aayi
dil ne barson se roo-e-aalam ki khaak chaani hai

teri ankhoen mein kahi vo zamaane simat ke aa gaye hain

jab quetta airport se nam-naaki ne tumhein ravana kiya
raqs nagmgi

chudiyon ki khanak ke neeche hain
bhari hai in sab saazon se
haath khaali hain dil veeraan hai

dayra dayra ye khaamoshi
dayra dayra ye tanhaai

jis mein qadeem aasaar
mohan-jodado harappa babil tesla ke
jo mere andar lamha lamha utarte jaate hain
majeed amjad
main faaslon ki kamand ki aseer
main teri shaalaat
rood-baar ke pul par badi der se khadi hoon

म्यूनिख़ में आज क्रिसमस है
सारे मनाज़िर ने सफ़ेद चादर ओढ़ रखी है
कमरे की खिड़की से आती उदासी चहार-सू फैलती जा रही है

अंधेरा उदासियों के नौहे पढ़ रहा है

मुमटियों से फिसलता नहीं कोई कंकर

लम्हे साकित हो गए हैं

अलमारी के ख़ानों में कुछ यादें बिखरी पड़ी हैं

सामने पड़ी कुर्सी झूल रही है

सारा माहौल सोगवार है
अजीब सा डर है

जो आँसू बन कर उतर रहा है

आसमाँ सात रंग रौशनियाँ
क़हक़हे साज़ नग़्मगी

ये हुजूम साल-हा-साल की मसाफ़त है

केंचुली बदलने का एहसास
आँखों की ख़ामोशी से अथाह गहराई में उतर रहा है

मैं अभी लौट कर नहीं आई
दिल ने बरसों से रू-ए-आलम की ख़ाक छानी है

तेरी अंखों में कहीं वो ज़माने सिमट के आ गए हैं

जब कोएटा एयरपोर्ट से नम-नाकी ने तुम्हें रवाना किया
रक़्स नग़्मगी

चूड़ियों की खनक के नीचे हैं
भारी है इन सब साज़ों से
हाथ ख़ाली हैं दिल वीरान है

दायरा दायरा ये ख़ामोशी
दायरा दायरा ये तन्हाई

जिस में क़दीम आसार
मोहन-जोदाड़ो हड़प्पा बाबिल टेक्सला के
जो मेरे अंदर लम्हा लम्हा उतरते जाते हैं
मजीद अमजद
मैं फ़ासलों की कमंद की असीर
मैं तेरी शालात
रूद-बार के पुल पर बड़ी देर से खड़ी हूँ

  - Janan Malik

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Janan Malik

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari