tamaam din tumhaare messages mere dil ki munderon par kabootaron ki tarah utarte hain | तमाम दिन तुम्हारे मैसेजेज़ मेरे दिल की मुंडेरों पर कबूतरों की तरह उतरते हैं

  - Janan Malik

tamaam din tumhaare messages mere dil ki munderon par kabootaron ki tarah utarte hain
safed doodhiya siyaah chashm sharbatee aur surmai maail jungli kabootar jin ke seene ke baal
kai rangon mein damakte hain
sabz-goon neelgoon aur taabdaar tapte hue taambe ke jaise

main un ki zabaan samjhti hoon
gutargoon gutargoon
kitni parvaaz kar ke aate hain

shaam se main un ke saath
ek kabuk mein band ho jaati hoon
vo mere baazuon kandon aur mere sar par baith jaate hain

mujhe subh tak sone nahin dete
un ke par seher-angez lafzon ki tarah
apne maani khholte hain

tumhein maaloom hai par lafzon ki tarah hote hain khulte hain maani ki tarah
tah-dar-tah
alaamaten
ramz-nigaari
aur ishaare kinaaye sab kuchh
aur ye lafz apne saath neenden uda kar le jaate hain
raat meri neenden le kar gali mein
seetiyaan maarti hai
aur khwaab khidkiyon par dastaken dete hain

tum apni karvat badalte ho
aur raat apni poshaak

main un ke pairo'n mein
motiyon waali jhaanjharen daalti hoon
ye apna apna daana dunka chug kar
tumhaari or ud jaate hain
aur phir ek nayi daar utarti hai

तमाम दिन तुम्हारे मैसेजेज़ मेरे दिल की मुंडेरों पर कबूतरों की तरह उतरते हैं
सफ़ेद दूधिया सियाह चश्म शरबती और सुरमई माइल जंगली कबूतर जिन के सीने के बाल
कई रंगों में दमकते हैं
सब्ज़-गूँ नीलगूँ और ताबदार तपते हुए ताँबे के जैसे

मैं उन की ज़बान समझती हूँ
ग़ुटरग़ूँ ग़ुटरग़ूँ
कितनी परवाज़ कर के आते हैं

शाम से मैं उन के साथ
एक काबुक में बंद हो जाती हूँ
वो मेरे बाज़ुओं कंधों और मेरे सर पर बैठ जाते हैं

मुझे सुब्ह तक सोने नहीं देते
उन के पर सेहर-अंगेज़ लफ़्ज़ों की तरह
अपने मआ'नी खोलते हैं

तुम्हें मालूम है पर लफ़्ज़ों की तरह होते हैं खुलते हैं मआ'नी की तरह
तह-दर-तह
अलामतें
रम्ज़-निगारी
और इशारे किनाए सब कुछ
और ये लफ़्ज़ अपने साथ नींदें उड़ा कर ले जाते हैं
रात मेरी नींदें ले कर गली में
सीटियाँ मारती है
और ख़्वाब खिड़कियों पर दस्तकें देते हैं

तुम अपनी करवट बदलते हो
और रात अपनी पोशाक

मैं उन के पैरों में
मोतियों वाली झाँझरें डालती हूँ
ये अपना अपना दाना दुन्का चुग कर
तुम्हारी ओर उड़ जाते हैं
और फिर एक नई डार उतरती है

  - Janan Malik

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Janan Malik

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari