ham apne shikasta jismoon aur apaahij roohon ke saath
zindagi basar kar rahe the
is apahij-pan ko door karne ke liye
ek doosre ke jismoon aur nazmon mein panaah-guzin hue
to
taak mein baithe vahshaton ke darindon ne
hamaare jismoon ko nigal liya
aur hamein insaan se gidh bana diya
hamein na khatm hone waali bhook ne aa liya
ab ham apne saath saath
apni nazmon ki maas botiyaan bhi noche hain
हम अपने शिकस्ता जिस्मों और अपाहिज रूहों के साथ
ज़िंदगी बसर कर रहे थे
इस अपाहिज-पन को दूर करने के लिए
एक दूसरे के जिस्मों और नज़्मों में पनाह-गुज़ीं हुए
तो
ताक में बैठे वहशतों के दरिंदों ने
हमारे जिस्मों को निगल लिया
और हमें इंसान से गिध बना दिया
हमें न ख़त्म होने वाली भूक ने आ लिया
अब हम अपने साथ साथ
अपनी नज़्मों की मास बोटियाँ भी नोचते हैं
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Janan Malik
As you were reading Charagh Shayari Shayari