ab ki garmi ki chhutti mein | अब की गर्मी की छुट्टी में

  - Jauhar Rahmani

ab ki garmi ki chhutti mein
ya'ni is guzri garmi mein
gaye lucknow ham khaala ke ghar
dekhe tarah tarah ke manzar
bhool-bhulayyaan ham ne dekhi
ja ke na nikle jis mein koi
dekha husainabad ka faatak
dekha cinema dekha naatak
laat shaheedon waali dekhi
park gaye ham haathi waali
council chamber dekha ham ne
zoo bhi ja kar bhaalu dekhe
naach dikhaate kaalu dekhe
belly-gaard ham ne dekhi
jis mein chale the gole goli
gaye ameenabad bhi yaaro
aur hue ham shaad bhi yaaro
ganj ki ham ne sair bhi kar li
har manzar se jholi bhar li
guzre qaisar-baag se ho kar
chaar-baagh ka chalta manzar
dekh ke har manzar ko aaye
laut ke apne ghar ko aaye

अब की गर्मी की छुट्टी में
या'नी इस गुज़री गर्मी में
गए लखनऊ हम ख़ाला के घर
देखे तरह तरह के मंज़र
भूल-भुलय्याँ हम ने देखी
जा के न निकले जिस में कोई
देखा हुसैनाबाद का फाटक
देखा सिनेमा देखा नाटक
लाट शहीदों वाली देखी
पार्क गए हम हाथी वाली
कौंसिल चैम्बर देखा हम ने
ज़ू भी जा कर भालू देखे
नाच दिखाते कालू देखे
बेली-गारद हम ने देखी
जिस में चले थे गोले गोली
गए अमीनाबाद भी यारो
और हुए हम शाद भी यारो
गंज की हम ने सैर भी कर ली
हर मंज़र से झोली भर ली
गुज़रे क़ैसर-बाग़ से हो कर
चार-बाग़ का चलता मंज़र
देख के हर मंज़र को आए
लौट के अपने घर को आए

  - Jauhar Rahmani

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Jauhar Rahmani

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari