daadi ammaan jaldi aao | दादी अम्माँ जल्दी आओ

  - Jauhar Rahmani

daadi ammaan jaldi aao
aa kar ek kahaani sunaao

aao baitho paas hamaare
shaahi shaalu pappi dulaare

ik baccha tha nek aur achha
dil ka saaf zabaan ka saccha
maa se apni kar ke minnat
safar ki maangi us ne ijaazat

maa ne raqam sadri mein si kar
kar diya ruksat aansu pee kar

chalte chalte ki ye naseehat
chahe jitni aaye museebat

jhooth kabhi lab par mat aaye
chahe jaan bhale hi jaaye

chala safar par jab vo baccha
man ka saaf zabaan ka saccha

raaste mein kuchh daaku aaye
zulm-o-sitam har ik par dhaaye

aakhir mein bacche se poocha
paas tire jo kuchh ho batla

bacche ne kuchh khauf na khaaya
jo kuchh sach tha un ko bataaya

cheer ke sadri raqam dikha di
maa ki naseehat un ko bata di

bacche ki jo dekhi sadaqat
paai us daaku ne naseehat

tauba bure kaamon se kar li
aur eimaan se jholi bhar li

shaikh abdul-qadir jeelani
duniya unhen is naam se jaani

दादी अम्माँ जल्दी आओ
आ कर एक कहानी सुनाओ

आओ बैठो पास हमारे
शाही शालू पप्पी दुलारे

इक बच्चा था नेक और अच्छा
दिल का साफ़ ज़बाँ का सच्चा
माँ से अपनी कर के मिन्नत
सफ़र की माँगी उस ने इजाज़त

माँ ने रक़म सदरी में सी कर
कर दिया रुख़्सत आँसू पी कर

चलते चलते की ये नसीहत
चाहे जितनी आए मुसीबत

झूट कभी लब पर मत आए
चाहे जान भले ही जाए

चला सफ़र पर जब वो बच्चा
मन का साफ़ ज़बाँ का सच्चा

रस्ते में कुछ डाकू आए
ज़ुल्म-ओ-सितम हर इक पर ढाए

आख़िर में बच्चे से पूछा
पास तिरे जो कुछ हो बतला

बच्चे ने कुछ ख़ौफ़ न खाया
जो कुछ सच था उन को बताया

चीर के सदरी रक़म दिखा दी
माँ की नसीहत उन को बता दी

बच्चे की जो देखी सदाक़त
पाई उस डाकू ने नसीहत

तौबा बुरे कामों से कर ली
और ईमान से झोली भर ली

शैख़ अबदुल-क़ादिर जीलानी
दुनिया उन्हें इस नाम से जानी

  - Jauhar Rahmani

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Jauhar Rahmani

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari