karodon chehre | करोड़ों चेहरे

  - Javed Akhtar

karodon chehre
aur un ke peeche
karodon chehre
ye raaste hain ki bhir ke chatte
zameen jismoon se dhak gai hai
qadam to kya til bhi dharne ki ab jagah nahin hai
ye dekhta hoon to sochta hoon
ki ab jahaan hoon
wahin simat ke khada rahoon main
magar karoon kya
ki jaanta hoon
ki ruk gaya to
jo bheed peeche se aa rahi hai
vo mujh ko pairo'n tale kuchal degi pees degi
to ab jo chalta hoon main
to khud mere apne pairo'n mein aa raha hai
kisi ka seena
kisi ka baazu
kisi ka chehra
chaloon
to auron pe zulm ḍhaaon
rookoon
to auron ke zulm jheluun
zameer
tujh ko to naaz hai apni munsifi par
zara sunoon to
ki aaj kya tera faisla hai

करोड़ों चेहरे
और उन के पीछे
करोड़ों चेहरे
ये रास्ते हैं कि भिड़ के छत्ते
ज़मीन जिस्मों से ढक गई है
क़दम तो क्या तिल भी धरने की अब जगह नहीं है
ये देखता हूँ तो सोचता हूँ
कि अब जहाँ हूँ
वहीं सिमट के खड़ा रहूँ मैं
मगर करूँ क्या
कि जानता हूँ
कि रुक गया तो
जो भीड़ पीछे से आ रही है
वो मुझ को पैरों तले कुचल देगी पीस देगी
तो अब जो चलता हूँ मैं
तो ख़ुद मेरे अपने पैरों में आ रहा है
किसी का सीना
किसी का बाज़ू
किसी का चेहरा
चलूँ
तो औरों पे ज़ुल्म ढाऊँ
रुकूँ
तो औरों के ज़ुल्म झेलूँ
ज़मीर
तुझ को तो नाज़ है अपनी मुंसिफ़ी पर
ज़रा सुनूँ तो
कि आज क्या तेरा फ़ैसला है

  - Javed Akhtar

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari