khunti pe latke ik lamp ki
peeli peeli raushni mein
thaki thaki si shaam ki peeth
deewaron par dhuen ke baadal ki parten
kamre mein lakdi ka toota-foota table
aur puraani chaar kursiyaan
table par mitti ki plate mein uble aaloo ki khushboo
aaloo ki khushboo mein bheega komal haath
aur meri dono aankhen bhi
zaa'ika leti hain aaloo ka rangon mein
खूँटी पे लटके इक लैम्प की
पीली पीली रौशनी में
थकी थकी सी शाम की पीठ
दीवारों पर धुएँ के बादल की परतें
कमरे में लकड़ी का टूटा-फूटा टेबल
और पुरानी चार कुर्सियाँ
टेबल पर मिट्टी की प्लेट में उबले आलू की ख़ुश्बू
आलू की ख़ुश्बू में भीगा कोमल हाथ
और मिरी दोनों आँखें भी
ज़ाइक़ा लेती हैं आलू का रंगों में
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Jayant Parmar
As you were reading Raushni Shayari Shayari