kategi zindagi kaise meri in dukh ke haalon mein | कटेगी ज़िन्दगी कैसे मिरी इन दुख के हालों में - Simranjit Singh

kategi zindagi kaise meri in dukh ke haalon mein
koi badlaav nai aa paaya guzre chaar saalon mein

chamak kar in andheron mein zyaada ithla mat pyaare
kabhi roshan nahin ho paate jugnoo tez ujaalon mein

muhabbat mein adaalat ki tarah ho jaata hai jeevan
fansa rehta hai banda bas daleelon aur sawaalon mein

siyaasat mein badha di jaati hai bas aish ameeron ki
sataaye fikr roti ki garibon ko khayaalon mein

hamaara rutba hoga ek din poore jahaan mein jeet
chhapenge sher apne bhi kai umda risaalon mein

कटेगी ज़िन्दगी कैसे मिरी इन दुख के हालों में
कोई बदलाव नइ आ पाया गुज़रे चार सालों में

चमक कर इन अंधेरों में ज़यादा इठला मत प्यारे
कभी रोशन नहीं हो पाते जुगनू तेज़ उजालों में

मुहब्बत में अदालत की तरह हो जाता है जीवन
फंसा रहता है बंदा बस दलीलों और सवालों में

सियासत में बढ़ा दी जाती है बस ऐश अमीरों की
सताए फिक्र रोटी की गरीबों को ख़यालों में

हमारा रुतबा होगा एक दिन पूरे जहां में 'जीत'
छपेंगे शेर अपने भी कई उम्दा रिसालों में

- Simranjit Singh
0 Likes

Poverty Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Simranjit Singh

Similar Moods

As you were reading Poverty Shayari Shayari