badal badal ke vo chola makaan se nikla | बदल बदल के वो चोला मकान से निकला

  - Kafeel Anwar

badal badal ke vo chola makaan se nikla
kisi ka teer kisi ki kamaan se nikla

haseen bastiyaan veeraan karne waala bhi
khushi ko dhoondhta wahm-o-gumaan se nikla

ajeeb haadisa ahl-e-zameen par guzra
ki qatra qatra lahu aasmaan se nikla

vo harf harf kitaabon ko chaatne waala
safed keeda meri daastaan se nikla

vo ek qissa jo anwar kabhi suna na saka
vo lafz lafz kisi ke bayaan se nikla

बदल बदल के वो चोला मकान से निकला
किसी का तीर किसी की कमान से निकला

हसीन बस्तियाँ वीरान करने वाला भी
ख़ुशी को ढूँढता वहम-ओ-गुमान से निकला

अजीब हादिसा अहल-ए-ज़मीन पर गुज़रा
कि क़तरा क़तरा लहू आसमान से निकला

वो हर्फ़ हर्फ़ किताबों को चाटने वाला
सफ़ेद कीड़ा मिरी दास्तान से निकला

वो एक क़िस्सा जो 'अनवर' कभी सुना न सका
वो लफ़्ज़ लफ़्ज़ किसी के बयान से निकला

  - Kafeel Anwar

haseen Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kafeel Anwar

As you were reading Shayari by Kafeel Anwar

Similar Writers

our suggestion based on Kafeel Anwar

Similar Moods

As you were reading haseen Shayari Shayari