tire vujood ko bas aan-baan mein rakha
koi bhi aks na soone makaan mein rakha
bas ek vaham sa saaya-fagan raha barson
jo phool sookh gaya khaak-daan mein rakha
meri ana ke agar roo-b-roo nahin koi
to zikr kis ka ye apne bayaan mein rakha
sunaata kaise main qissa ye be-hisi ka yahan
ki khud ko us ne magar darmiyaan mein rakha
musaafiraan-e-adam ka padaav kya anwar
ki us ne khud hi unhen saayebaan mein rakha
तिरे वजूद को बस आन-बान में रक्खा
कोई भी अक्स न सूने मकान में रक्खा
बस एक वहम सा साया-फ़गन रहा बरसों
जो फूल सूख गया ख़ाक-दान में रक्खा
मिरी अना के अगर रू-ब-रू नहीं कोई
तो ज़िक्र किस का ये अपने बयान में रक्खा
सुनाता कैसे मैं क़िस्सा ये बे-हिसी का यहाँ
कि ख़ुद को उस ने मगर दरमियान में रक्खा
मुसाफ़िरान-ए-अदम का पड़ाव क्या 'अनवर'
कि उस ने ख़ुद ही उन्हें साएबान में रक्खा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kafeel Anwar
our suggestion based on Kafeel Anwar
As you were reading Gulshan Shayari Shayari