vo kiya gaya musallat mera haal dekhne ko
ki urooj-e-zindagaani. ka zawaal dekhne ko
ye ajeeb mas'ala hai mere us ke darmiyaan bhi
vo jawaab le ke aaya hai sawaal dekhne ko
tu badal ke apna chehra bada shaadmaan hai lekin
koi aaina to rakh le khud-o-khaal dekhne ko
jahaan kal basa hua tha mera shehar ab hai malba
mujhe us ne zindagi di ye vabaal dekhne ko
na to daad ki tamannaa na to shohraton ki khwaahish
mera fan hi aaina hai ye kamaal dekhne ko
jo khada hua hai anwar liye sang mere aage
vo hai muztarib lahu ka ye ubaal dekhne ko
वो किया गया मुसल्लत मिरा हाल देखने को
कि उरूज-ए-ज़िंदगानी का ज़वाल देखने को
ये अजीब मसअला है मिरे उस के दरमियाँ भी
वो जवाब ले के आया है सवाल देखने को
तू बदल के अपना चेहरा बड़ा शादमाँ है लेकिन
कोई आइना तो रख ले ख़द-ओ-ख़ाल देखने को
जहाँ कल बसा हुआ था मिरा शहर अब है मलबा
मुझे उस ने ज़िंदगी दी ये वबाल देखने को
न तो दाद की तमन्ना न तो शोहरतों की ख़्वाहिश
मिरा फ़न ही आइना है ये कमाल देखने को
जो खड़ा हुआ है 'अनवर' लिए संग मेरे आगे
वो है मुज़्तरिब लहू का ये उबाल देखने को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kafeel Anwar
our suggestion based on Kafeel Anwar
As you were reading Khwaahish Shayari Shayari