jahaan mein koi tumhaara jawaab ho na saka | जहाँ में कोई तुम्हारा जवाब हो न सका

  - Kafeel Anwar

jahaan mein koi tumhaara jawaab ho na saka
sitaara laakh badha aftaab ho na saka

khushi ke chand hi lamhe the gin liye lekin
gham-e-jahaan ka kisi se hisaab ho na saka

yahan to chaaron taraf pattharon ki baarish thi
koi bhi sang nishaana-ma'ab ho na saka

qusoor is ko samjhiye meri basaarat ka
vo be-libaas raha be-hijaab ho na saka

mere lahu ne bahaaron ko taazgi de di
fasurda un ke labon ka gulaab ho na saka

ise samajhna to mumkin nahin hai ai anwar
vo ek chehra jo dil ki kitaab ho na saka

जहाँ में कोई तुम्हारा जवाब हो न सका
सितारा लाख बढ़ा आफ़्ताब हो न सका

ख़ुशी के चंद ही लम्हे थे गिन लिए लेकिन
ग़म-ए-जहाँ का किसी से हिसाब हो न सका

यहाँ तो चारों तरफ़ पत्थरों की बारिश थी
कोई भी संग निशाना-मआ'ब हो न सका

क़ुसूर इस को समझिए मिरी बसारत का
वो बे-लिबास रहा बे-हिजाब हो न सका

मिरे लहू ने बहारों को ताज़गी दे दी
फ़सुर्दा उन के लबों का गुलाब हो न सका

इसे समझना तो मुमकिन नहीं है ऐ 'अनवर'
वो एक चेहरा जो दिल की किताब हो न सका

  - Kafeel Anwar

Kitab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kafeel Anwar

As you were reading Shayari by Kafeel Anwar

Similar Writers

our suggestion based on Kafeel Anwar

Similar Moods

As you were reading Kitab Shayari Shayari