suraj chaand sitaare raushan
dharti ke mah-paare raushan
fikr-o-nazar ke aaine mein
sehra ret sharaare raushan
ana-guzida insaano mein
kahaan rahenge saare raushan
toote bikhre khwaab sunhari
aur qalam ke taare raushan
qalb syaahi-maail sab ke
lekin teeson paare raushan
anwar chhod ke ghar nikla hoon
baam-o-dar galiyaare raushan
सूरज चाँद सितारे रौशन
धरती के मह-पारे रौशन
फ़िक्र-ओ-नज़र के आईने में
सहरा रेत शरारे रौशन
अना-गुज़ीदा इंसानों में
कहाँ रहेंगे सारे रौशन
टूटे बिखरे ख़्वाब सुनहरी
और क़लम के तारे रौशन
क़ल्ब स्याही-माइल सब के
लेकिन तीसों पारे रौशन
'अनवर' छोड़ के घर निकला हूँ
बाम-ओ-दर गलियारे रौशन
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kafeel Anwar
our suggestion based on Kafeel Anwar
As you were reading Ghar Shayari Shayari