tere haseen jism ki phoolon mein boss hai
go vaham hai ye vaham qareen-e-qayaas hai
vo ashk jis pe chaandni-shab ka libaas hai
shaayad kitaab-e-gham ka koi iqtibaas hai
meri tarah har ik ko hai chaahat usi ki phir
guzre dinon ke zahar mein kitni mithaas hai
barson guzar gaye magar ab tak nahin bujhi
kitni ajeeb ret ke saahil ki pyaas hai
meri sada khich is tarah aayi hai laut kar
mehsoos ho raha hai koi aas-paas hai
boonden pade to aur ziyaada hui tapish
shaayad isee ka naam zameen ki bhadaas hai
apne gharo mein khush hain charaagon ko le ke log
kis ko khabar ki raat ka chehra udaas hai
dhundla sa zard maazi ka ho jis tarah varq
kitna haseen aap ka rang-e-libaas hai
kis waqt kaif toot ke gir jaaye kya khabar
palkon pe ek halka-e-zanjeer-e-yaas hai
तेरे हसीन जिस्म की फूलों में बॉस है
गो वहम है ये वहम क़रीन-ए-क़यास है
वो अश्क जिस पे चाँदनी-शब का लिबास है
शायद किताब-ए-ग़म का कोई इक़्तिबास है
मेरी तरह हर इक को है चाहत उसी की फिर
गुज़रे दिनों के ज़हर में कितनी मिठास है
बरसों गुज़र गए मगर अब तक नहीं बुझी
कितनी अजीब रेत के साहिल की प्यास है
मेरी सदा खिच इस तरह आई है लौट कर
महसूस हो रहा है कोई आस-पास है
बूँदें पड़ें तो और ज़ियादा हुई तपिश
शायद इसी का नाम ज़मीं की भड़ास है
अपने घरों में ख़ुश हैं चराग़ों को ले के लोग
किस को ख़बर कि रात का चेहरा उदास है
धुँदला सा ज़र्द माज़ी का हो जिस तरह वरक़
कितना हसीन आप का रंग-ए-लिबास है
किस वक़्त 'कैफ़' टूट के गिर जाए क्या ख़बर
पलकों पे एक हल्क़ा-ए-ज़ंजीर-ए-यास है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Ansari
our suggestion based on Kaif Ansari
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari