jab bhi doobe hue suraj ne ubharna chaaha | जब भी डूबे हुए सूरज ने उभरना चाहा

  - Kaif Ansari

jab bhi doobe hue suraj ne ubharna chaaha
shehar waalon ne bhi galiyon mein bikhrna chaaha

aaj kaanton se uljhta hai garebaan us ka
jis ne sabze pe kabhi paanv na dharna chaaha

ho gaeein soorat-e-deewaar hawaaein haael
jab kisi ashk ne daaman pe utarna chaaha

chaandni-shab thi ki main tha ki hawa ke saaye
har kisi ne tire kooche mein theharna chaaha

le gaya kaif saleebo ko utha kar koi
gham ke maaron ne kisi waqt jo marna chaaha

जब भी डूबे हुए सूरज ने उभरना चाहा
शहर वालों ने भी गलियों में बिखरना चाहा

आज काँटों से उलझता है गरेबाँ उस का
जिस ने सब्ज़े पे कभी पाँव न धरना चाहा

हो गईं सूरत-ए-दीवार हवाएँ हाएल
जब किसी अश्क ने दामन पे उतरना चाहा

चाँदनी-शब थी कि मैं था कि हवा के साए
हर किसी ने तिरे कूचे में ठहरना चाहा

ले गया 'कैफ़' सलीबों को उठा कर कोई
ग़म के मारों ने किसी वक़्त जो मरना चाहा

  - Kaif Ansari

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Ansari

As you were reading Shayari by Kaif Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Ansari

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari