chaand ubhara na mere jism se saaya nikla | चाँद उभरा न मिरे जिस्म से साया निकला

  - Kaif Ansari

chaand ubhara na mere jism se saaya nikla
shaam-e-gham aayi to main ghar se akela nikla

aaj aaya hai dariche pe hawa ka jhonka
aaj koi to mujhe dekhne waala nikla

ye alag baat ki khulne lage palkon ke varq
nok-e-lab se na kabhi harf-e-tamanna nikla

ho gaye aur dar-o-baam nazar se ojhal
dar-haqeeqat ye ujaala bhi andhera nikla

koi awaaz to aa jaati kahi se waapas
ye kuaan ghar ka to itna bhi na gahra nikla

laut ja ab meri aankhon mein nahin hain aansu
tu samundar jise samjha tha vo sehra nikla

चाँद उभरा न मिरे जिस्म से साया निकला
शाम-ए-ग़म आई तो मैं घर से अकेला निकला

आज आया है दरीचे पे हवा का झोंका
आज कोई तो मुझे देखने वाला निकला

ये अलग बात कि खुलने लगे पलकों के वरक़
नोक-ए-लब से न कभी हर्फ़-ए-तमन्ना निकला

हो गए और दर-ओ-बाम नज़र से ओझल
दर-हक़ीक़त ये उजाला भी अँधेरा निकला

कोई आवाज़ तो आ जाती कहीं से वापस
ये कुआँ घर का तो इतना भी न गहरा निकला

लौट जा अब मिरी आँखों में नहीं हैं आँसू
तू समुंदर जिसे समझा था वो सहरा निकला

  - Kaif Ansari

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaif Ansari

As you were reading Shayari by Kaif Ansari

Similar Writers

our suggestion based on Kaif Ansari

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari