muddaton main ik andhe kuein mein aseer
sar patkata raha gidgidhaata raha
raushni chahiye chaandni chahiye zindagi chahiye
raushni pyaar ki chaandni yaar ki zindagi daar ki
apni awaaz sunta raha raat din
dheere dheere yaqeen dil ko aata raha
soone sansaar mein
bewafa yaar mein
daaman-e-daar mein
raushni bhi nahin
chaandni bhi nahin
zindagi bhi nahin
zindagi ek raat
waahima kaayenaat
aadmi be-bisaat
log kotaah-qad
shehar shehar-e-hasad
gaav in se bhi bad
in andheron ne jab pees daala mujhe
phir achaanak kuein ne uchhaala mujhe
apne seene se baahar nikala mujhe
saikron misr the saamne
saikron us ke bazaar the
ek boodhi zulekha nahin
jaane kitne khareedaar the
badhta jaata tha yusuf ka mol
log bikne ko taiyyaar the
khul gaye mah-jabeenon ke sar
reshmi chadaren hat gaeein
palkein jhapkiin na nazrein jhuki
marmariin ungaliyaan kat gaeein
haath daaman tak aaya koi
dhajjiyaan door tak bat gaeein
main ne dar ke laga di kuein mein chhalaang
sar patkane laga phir isee karb se
phir isee dard se gidgidhaane laga
raushni chahiye chaandni chahiye zindagi chahiye
मुद्दतों मैं इक अंधे कुएँ में असीर
सर पटकता रहा गिड़गिड़ाता रहा
रौशनी चाहिए، चाँदनी चाहिए، ज़िंदगी चाहिए
रौशनी प्यार की, चाँदनी यार की, ज़िंदगी दार की
अपनी आवाज़ सुनता रहा रात दिन
धीरे धीरे यक़ीं दिल को आता रहा
सूने संसार में
बेवफ़ा यार में
दामन-ए-दार में
रौशनी भी नहीं
चाँदनी भी नहीं
ज़िंदगी भी नहीं
ज़िंदगी एक रात
वाहिमा काएनात
आदमी बे-बिसात
लोग कोताह-क़द
शहर शहर-ए-हसद
गाँव इन से भी बद
इन अंधेरों ने जब पीस डाला मुझे
फिर अचानक कुएँ ने उछाला मुझे
अपने सीने से बाहर निकाला मुझे
सैकड़ों मिस्र थे सामने
सैकड़ों उस के बाज़ार थे
एक बूढ़ी ज़ुलेख़ा नहीं
जाने कितने ख़रीदार थे
बढ़ता जाता था यूसुफ़ का मोल
लोग बिकने को तय्यार थे
खुल गए मह-जबीनों के सर
रेशमी चादरें हट गईं
पलकें झपकीं न नज़रें झुकीं
मरमरीं उँगलियाँ कट गईं
हाथ दामन तक आया कोई
धज्जियाँ दूर तक बट गईं
मैं ने डर के लगा दी कुएँ में छलांग
सर पटकने लगा फिर इसी कर्ब से
फिर इसी दर्द से गिड़गिड़ाने लगा
रौशनी चाहिए चाँदनी चाहिए ज़िंदगी चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Azmi
our suggestion based on Kaifi Azmi
As you were reading Gham Shayari Shayari