ek do hi nahin chhabbees diye
ek ik kar ke jalaae main ne
ek diya naam ka aazaadi ke
us ne jalte hue honton se kaha
chahe jis mulk se gehuun maango
haath failaane ki aazaadi hai
ik diya naam ka khush-haali ke
us ke jalte hi ye maaloom hua
kitni bad-haali hai
pet khaali hai mera jeb meri khaali hai
ik diya naam ka yak-jehati ke
raushni us ki jahaan tak pahunchee
qaum ko ladte jhagdate dekha
maa ke aanchal mein hain jitne paivand
sab ko ik saath udhadte dekha
door se biwi ne jhallaa ke kaha
tel mehnga bhi hai milta bhi nahin
kyun diye itne jala rakhe hain
apne ghar mein na jharoka na munder
taq sapnon ke saja rakhe hain
aaya gusse ka ik aisa jhonka
bujh gaye saare diye
haan magar ek diya naam hai jis ka ummeed
jhilmilata hi chala jaata hai
एक दो ही नहीं छब्बीस दिए
एक इक कर के जलाए मैं ने
एक दिया नाम का आज़ादी के
उस ने जलते हुए होंटों से कहा
चाहे जिस मुल्क से गेहूँ माँगो
हाथ फैलाने की आज़ादी है
इक दिया नाम का ख़ुश-हाली के
उस के जलते ही ये मालूम हुआ
कितनी बद-हाली है
पेट ख़ाली है मिरा जेब मिरी ख़ाली है
इक दिया नाम का यक-जेहती के
रौशनी उस की जहाँ तक पहुँची
क़ौम को लड़ते झगड़ते देखा
माँ के आँचल में हैं जितने पैवंद
सब को इक साथ उधड़ते देखा
दूर से बीवी ने झल्ला के कहा
तेल महँगा भी है मिलता भी नहीं
क्यूँ दिए इतने जला रक्खे हैं
अपने घर में न झरोका न मुंडेर
ताक़ सपनों के सजा रक्खे हैं
आया ग़ुस्से का इक ऐसा झोंका
बुझ गए सारे दिए
हाँ मगर एक दिया नाम है जिस का उम्मीद
झिलमिलाता ही चला जाता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Azmi
our suggestion based on Kaifi Azmi
As you were reading Maa Shayari Shayari