aaina-dar-aaina qad-aavari ka karb hai
gum-shuda daanish-vari hai khud-sari ka karb hai
mera dukh ye hai ki main naa-mo'tabar lashkar mein hoon
sar-b-neza main nahin hoon ik zaree ka karb hai
bhook ko nisbat nahin gehuun ki paidaavar se
mera dastar-khwaan khaali tashtari ka karb hai
ik taraf yaaron ki yaari ka bharam khulta hua
ik taraf ikhlaas ki bakhiya-gari ka karb hai
apne darwaaze pe baitha sochta rehta hoon main
mera ghar ajdaad ki baara-dari ka karb hai
vo zamaana hai ki ab taar-e-nafs bhi hai giran
b'ad ki manzil to bas khush-paikari ka karb hai
waqt ki mizaan par beenaai khandaan hai sharar
kor-beenon mein bhi ab deeda-wari ka karb hai
आईना-दर-आईना क़द-आवरी का कर्ब है
गुम-शुदा दानिश-वरी है ख़ुद-सरी का कर्ब है
मेरा दुख ये है कि मैं ना-मो'तबर लश्कर में हूँ
सर-ब-नेज़ा मैं नहीं हूँ इक जरी का कर्ब है
भूक को निस्बत नहीं गेहूँ की पैदावार से
मेरा दस्तर-ख़्वान ख़ाली तश्तरी का कर्ब है
इक तरफ़ यारों की यारी का भरम खुलता हुआ
इक तरफ़ इख़्लास की बख़िया-गरी का कर्ब है
अपने दरवाज़े पे बैठा सोचता रहता हूँ मैं
मेरा घर अज्दाद की बारा-दरी का कर्ब है
वो ज़माना है कि अब तार-ए-नफ़स भी है गिराँ
ब'अद की मंज़िल तो बस ख़ुश-पैकरी का कर्ब है
वक़्त की मीज़ान पर बीनाई ख़ंदाँ है 'शरर'
कोर-बीनों में भी अब दीदा-वरी का कर्ब है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Haider Sharar
our suggestion based on Kaleem Haider Sharar
As you were reading Waqt Shayari Shayari