zinda rahne ka bharam aa ke kahaan par toota | ज़िंदा रहने का भरम आ के कहाँ पर टूटा

  - Kaleem Haider Sharar

zinda rahne ka bharam aa ke kahaan par toota
ik sitaara sa meri shah-rag-e-jaan par toota

ghair-mumkin hai meri khaak udaata koi
main ki khud apni tabaahi ke nishaan par toota

sood-dar-sood muravvat meri kaam aayi hai
jab main ikhlaas ki mizaan-e-ziyaan par toota

zahar sa phail chuka hai meri shiryaano'n mein
kaun sa harf meri nok-e-zabaan par toota

siskiyaan bhar ke sharar kaun wahan rota tha
khema-e-khwaab sar-e-shaam jahaan par toota

ज़िंदा रहने का भरम आ के कहाँ पर टूटा
इक सितारा सा मिरी शह-रग-ए-जाँ पर टूटा

ग़ैर-मुमकिन है मिरी ख़ाक उड़ाता कोई
मैं कि ख़ुद अपनी तबाही के निशाँ पर टूटा

सूद-दर-सूद मुरव्वत मिरी काम आई है
जब मैं इख़्लास की मीज़ान-ए-ज़ियाँ पर टूटा

ज़हर सा फैल चुका है मिरी शिरयानों में
कौन सा हर्फ़ मिरी नोक-ए-ज़बाँ पर टूटा

सिसकियाँ भर के 'शरर' कौन वहाँ रोता था
ख़ेमा-ए-ख़्वाब सर-ए-शाम जहाँ पर टूटा

  - Kaleem Haider Sharar

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Haider Sharar

As you were reading Shayari by Kaleem Haider Sharar

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Haider Sharar

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari