haqeeqat hai ise maane na maane ghatti badhti hain | हक़ीक़त है इसे मानें न मानें घटती बढ़ती हैं

  - Kaleem Haider Sharar

haqeeqat hai ise maane na maane ghatti badhti hain
vo jhooti hon ki sacchi daastaanen ghatti badhti hain

kisi pahluu se koi teer aa kar chaat jaayega
hazaaron zaaviye hain aur kamaanein ghatti badhti hain

falak-geeri ki khwaahish baal-o-par ko raakh kar degi
havas-raano parindon ki udaanen ghatti badhti hain

shikam-seri ne dastar-khwaan bichvaaye hain logon se
mazaq-e-zaaiqa samjho zabaanen ghatti badhti hain

bulandi aur pasti ka koi meaar tay kar lo
zameen tang ho rahi hai aur chataanen ghatti badhti hain

main in chaandi ke bazaaron pe apne daant kya gaadhoon
chamakti feeki padti sab dukaanein ghatti badhti hain

sharar main aisi mitti par asaas-e-fan nahin rakhta
rasaanon ka bharosa kya rasaanein ghatti badhti hain

हक़ीक़त है इसे मानें न मानें घटती बढ़ती हैं
वो झूटी हों कि सच्ची दास्तानें घटती बढ़ती हैं

किसी पहलू से कोई तीर आ कर चाट जाएगा
हज़ारों ज़ाविए हैं और कमानें घटती बढ़ती हैं

फ़लक-गीरी की ख़्वाहिश बाल-ओ-पर को राख कर देगी
हवस-रानो परिंदों की उड़ानें घटती बढ़ती हैं

शिकम-सेरी ने दस्तर-ख़्वान बिछवाए हैं लोगों से
मज़ाक़-ए-ज़ाइक़ा समझो ज़बानें घटती बढ़ती हैं

बुलंदी और पस्ती का कोई मेआर तय कर लो
ज़मीं तंग हो रही है और चटानें घटती बढ़ती हैं

मैं इन चाँदी के बाज़ारों पे अपने दाँत क्या गाड़ूँ
चमकती फीकी पड़ती सब दूकानें घटती बढ़ती हैं

'शरर' मैं ऐसी मिट्टी पर असास-ए-फ़न नहीं रखता
रसानों का भरोसा क्या रसानें घटती बढ़ती हैं

  - Kaleem Haider Sharar

Aasra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Haider Sharar

As you were reading Shayari by Kaleem Haider Sharar

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Haider Sharar

Similar Moods

As you were reading Aasra Shayari Shayari