ana zada tha kahi par kahi par aan-zada | अना ज़दा था कहीं पर कहीं पर आन-ज़दा

  - Kaleem Haider Sharar

ana zada tha kahi par kahi par aan-zada
zameen ki zad se nikalne tak aasmaan-zada

yahan pe dasht o samundar ki baat mat karna
hamaare shehar ka har shakhs hai makaan-zada

khayal-o-khwaab ke mausam badlne waale hain
hujoom wahm-o-tasavvur mein hai gumaan-zada

to baal-o-par ki numaish pe harf aa jaata
hawa ka rukh na palatta agar udaan zada

hamaare b'ad hamein dhoondhne ke sab raaste
hamaari khaak mein mil jaayenge nishaan-zada

bhanwar se doob ke ubhara to ye khula mujh par
samundari theen hawaaein main baadbaan-zada

sab apna harf-e-maani bana rahe hain sharar
ye lafz lafz to sadiyon se hain zabaan-zada

अना ज़दा था कहीं पर कहीं पर आन-ज़दा
ज़मीं की ज़द से निकलने तक आसमान-ज़दा

यहाँ पे दश्त ओ समुंदर की बात मत करना
हमारे शहर का हर शख़्स है मकान-ज़दा

ख़याल-ओ-ख़्वाब के मौसम बदलने वाले हैं
हुजूम वहम-ओ-तसव्वुर में है गुमान-ज़दा

तो बाल-ओ-पर की नुमाइश पे हर्फ़ आ जाता
हवा का रुख़ न पलटता अगर उड़ान ज़दा

हमारे ब'अद हमें ढूँडने के सब रस्ते
हमारी ख़ाक में मिल जाएँगे निशान-ज़दा

भँवर से डूब के उभरा तो ये खुला मुझ पर
समुंदरी थीं हवाएँ मैं बादबान-ज़दा

सब अपना हर्फ़-ए-मआनी बना रहे हैं 'शरर'
ये लफ़्ज़ लफ़्ज़ तो सदियों से हैं ज़बान-ज़दा

  - Kaleem Haider Sharar

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Haider Sharar

As you were reading Shayari by Kaleem Haider Sharar

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Haider Sharar

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari