iraadon ki shikaston par sana-khwaani se pahchaana
khudaaya main ne tujh ko kitni aasaani se pahchaana
kai logon ne phalte phoolte pedon se jaana hai
magar main ne tujhe sabze ki uryaani se pahchaana
mere sajde isee duniya mein mere kaam aaye hain
mere qaateel ne mujh ko meri peshaani se pahchaana
kabhi dekha ki dil kaise sikudta hai zaroorat par
kabhi duniya ko paison ki faraavani se pahchaana
rag-o-pai mein dar aata hai sharar har sher ka nashsha
ghazal ko baarha tarteeb-e-jismaani se pahchaana
इरादों की शिकस्तों पर सना-ख़्वानी से पहचाना
ख़ुदाया मैं ने तुझ को कितनी आसानी से पहचाना
कई लोगों ने फलते फूलते पेड़ों से जाना है
मगर मैं ने तुझे सब्ज़े की उर्यानी से पहचाना
मिरे सज्दे इसी दुनिया में मेरे काम आए हैं
मिरे क़ातिल ने मुझ को मेरी पेशानी से पहचाना
कभी देखा कि दिल कैसे सिकुड़ता है ज़रूरत पर
कभी दुनिया को पैसों की फ़रावानी से पहचाना
रग-ओ-पै में दर आता है 'शरर' हर शेर का नश्शा
ग़ज़ल को बारहा तरतीब-ए-जिस्मानी से पहचाना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Haider Sharar
our suggestion based on Kaleem Haider Sharar
As you were reading Dil Shayari Shayari