agar kinaare pe therne ki jagah nahin hai
to us safeene se achhi koi jagah nahin hai
jo ho sake to abhi se samaan baandh lijye
vo khud na kah de yahan par itni jagah nahin hai
tire barabar mein rahne waale to kahte honge
ki is zameen par kahi bhi aisi jagah nahin hai
to kyun na khaamosh rah ke hamdardiyaan sameten
use pata hai ki ye hamaari jagah nahin hai
ye kaise dil mein basera karne ko aa gaye ham
ki jis ke itaraaf mein bhi khaali jagah nahin hai
अगर किनारे पे ठेरने की जगह नहीं है
तो उस सफ़ीने से अच्छी कोई जगह नहीं है
जो हो सके तो अभी से सामान बाँध लीजे
वो ख़ुद न कह दे यहाँ पर इतनी जगह नहीं है
तिरे बराबर में रहने वाले तो कहते होंगे
कि इस ज़मीं पर कहीं भी ऐसी जगह नहीं है
तो क्यूँ न ख़ामोश रह के हमदर्दियाँ समेटें
उसे पता है कि ये हमारी जगह नहीं है
ये कैसे दिल में बसेरा करने को आ गए हम
कि जिस के अतराफ़ में भी ख़ाली जगह नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khurram Afaq
our suggestion based on Khurram Afaq
As you were reading Dil Shayari Shayari