rozina
jin dinon
nahin hote ham dono
ek dooje ke darmiyaan
jin dinon
nahin bunati tum khwaab
intezar ki silaai par
jin dinon
nahin sunaai tumne
shab bhar kahaaniyaan
jin dinon
nahin thi afsos ki
itni mazid wajhein
jin dinon
kharch hoti rahi
nakudaon se khuda taraashte
jin dinon
band rahi khud mein
asraar ke maanind
jin dinon
laut gayi tum ghar
dero-zood ki fikr se pehle
un udaas
behad udaas dinon mein bhi tum
kaise khush rahi rozina
"रोज़ीना"
जिन दिनों
नहीं होते हम दोनों
एक दूजे के दरमियान
जिन दिनों
नहीं बुनती तुम ख़्वाब
इंतज़ार की सलाई पर
जिन दिनों
नहीं सुनाई तुमने
शब भर कहानियाँ
जिन दिनों
नहीं थी अफ़सोस की
इतनी मज़ीद वजहें
जिन दिनों
ख़र्च होती रही
नाख़ुदाओं से ख़ुदा तराशते
जिन दिनों
बंद रही ख़ुद में
असरार के मानिंद
जिन दिनों
लौट गयी तुम घर
देरो-ज़ूद की फ़िक्र से पहले
उन उदास
बेहद उदास दिनों में भी तुम
कैसे ख़ुश रही रोज़ीना
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on kumar rahul
As you were reading Khafa Shayari Shayari