gar chahte ho zakhm kii koii zubaan ho
to sirf uska teer ho uski kamaan ho
maine kitaab-e-zindagi poori samajh li thi
so chahta bhi tha ki mera imtihaan ho
ye jis zameen pe kai laashein hui hain dafn
tum us pe chahte ho ki apna makaan ho
mujhko mili hai hijr kii surkhi jo gaal par
mumkin hai dillagi ye tera hi nishaan ho
main ab nahin udoonga tumhaari daraar beech
ya ye zameen mile mujhe ya vo jahaan ho
गर चाहते हो ज़ख़्म की कोई ज़बान हो
तो सिर्फ़ उसका तीर हो उसकी कमान हो
मैंने किताब-ए-ज़िंदगी पूरी समझ ली थी
सो चाहता भी था कि मेरा इम्तिहान हो
ये जिस ज़मीन पे कई लाशें हुईं हैं दफ़्न
तुम उस पे चाहते हो कि अपना मकान हो
मुझको मिली है हिज्र की सुर्ख़ी जो गाल पर
मुमकिन है दिल्लगी ये तेरा ही निशान हो
मैं अब नहीं उड़ूँगा तुम्हारी दरार बीच
या ये ज़मीं मिले मुझे या वो जहान हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lalit Pandey
our suggestion based on Lalit Pandey
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari