na koi khwaab hoga aur na khwaabon ka jahaan hoga
koi dil mein nahin hoga to dil khaali makaan hoga
bahut hi soch kar tu kashti-e-umr-e-ravaan ko daal
muqaabil mein talaatum-khez bahr-e-be-karan hoga
nahin hai door vo manzar jise dekhega ye aalam
musalmaan ik taraf aur ik taraf saara jahaan hoga
ye daur-e-pur-fitna hai bojh apna khud uthao tum
tumhaara dard baantega na koi meherbaan hoga
raaeson aur luteron ka zamaana hai ghareebo tum
kabhi mat sochna tum par zamaana meherbaan hoga
chattaanon ki tarah main azm rakhta hoon lateef ab ke
mujhe maaloom hai har ik qadam par imtihaan hoga
न कोई ख़्वाब होगा और न ख़्वाबों का जहाँ होगा
कोई दिल में नहीं होगा तो दिल ख़ाली मकाँ होगा
बहुत ही सोच कर तू कश्ती-ए-उम्र-ए-रवाँ को डाल
मुक़ाबिल में तलातुम-ख़ेज़ बहर-ए-बे-कराँ होगा
नहीं है दूर वो मंज़र जिसे देखेगा ये आलम
मुसलमाँ इक तरफ़ और इक तरफ़ सारा जहाँ होगा
ये दौर-ए-पुर-फ़ितन है बोझ अपना ख़ुद उठाओ तुम
तुम्हारा दर्द बाँटेगा न कोई मेहरबाँ होगा
रईसों और लुटेरों का ज़माना है ग़रीबो तुम
कभी मत सोचना तुम पर ज़माना मेहरबाँ होगा
चट्टानों की तरह मैं अज़्म रखता हूँ 'लतीफ़' अब के
मुझे मालूम है हर इक क़दम पर इम्तिहाँ होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lateef Ahmad Subhani
our suggestion based on Lateef Ahmad Subhani
As you were reading Aah Shayari Shayari