lag gaye barson jawaabaat bataane ke liye
in khuraafaat ko ghar ghar se hataane ke liye
kis qadar zahar piya zabt kiya hai main ne
jo lagi aag hai seene mein chhupaane ke liye
aise bhi log bahut saare milenge tum ko
har galat kaam kiya naam kamaane ke liye
khoon-e-dil khoon-e-jigar jaan talak nazr kiye
kya nahin de ke gaye log zamaane ke liye
daao par log laga dete hain har shay apni
apne dushman ko faqat neecha dikhaane ke liye
kaun jaata hai kisi tapte hue sehra mein
apni tanhaai ka ik jashn manaane ke liye
koshishein jaari hain is daur ki har din ai lateef
jitne jungle hain unhen shehar banaane ke liye
लग गए बरसों जवाबात बताने के लिए
इन ख़ुराफ़ात को घर घर से हटाने के लिए
किस क़दर ज़हर पिया ज़ब्त किया है मैं ने
जो लगी आग है सीने में छुपाने के लिए
ऐसे भी लोग बहुत सारे मिलेंगे तुम को
हर ग़लत काम किया नाम कमाने के लिए
ख़ून-ए-दिल ख़ून-ए-जिगर जान तलक नज़्र किए
क्या नहीं दे के गए लोग ज़माने के लिए
दाओ पर लोग लगा देते हैं हर शय अपनी
अपने दुश्मन को फ़क़त नीचा दिखाने के लिए
कौन जाता है किसी तपते हुए सहरा में
अपनी तन्हाई का इक जश्न मनाने के लिए
कोशिशें जारी हैं इस दौर की हर दिन ऐ 'लतीफ़'
जितने जंगल हैं उन्हें शहर बनाने के लिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lateef Ahmad Subhani
our suggestion based on Lateef Ahmad Subhani
As you were reading Gaon Shayari Shayari