jo bujh gaye unhin ko charaagon ka naam do | जो बुझ गए उन्हीं को चराग़ों का नाम दो

  - Lateef Ahmad Subhani

jo bujh gaye unhin ko charaagon ka naam do
be-chehergi ko apni gulaabon ka naam do

jo hai haqeeqi us ko to ab bhool jaao tum
be-jaan pattharon ko khudaaon ka naam do

hamdardiyaan khuloos-o-mohabbat ki dosti
is daur mein inhen bhi gunaahon ka naam do

hai waqt ka taqaza buri harkaton ko tum
jiddat kaho haseen adaaon ka naam do

dahshat-gari jahaan ye panpati hai raat din
santon ka munh kaho ki gufaaon ka naam do

is mein ghutan hai zahar hai gard-o-ghubaar hai
phir bhi ise shagufta fazaaon ka naam do

doobe the phir bhi saaf nikal aaye ai lateef
is ko ada kaho ki duaon ka naam do

जो बुझ गए उन्हीं को चराग़ों का नाम दो
बे-चेहरगी को अपनी गुलाबों का नाम दो

जो है हक़ीक़ी उस को तो अब भूल जाओ तुम
बे-जान पत्थरों को ख़ुदाओं का नाम दो

हमदर्दियाँ ख़ुलूस-ओ-मोहब्बत कि दोस्ती
इस दौर में इन्हें भी गुनाहों का नाम दो

है वक़्त का तक़ाज़ा बुरी हरकतों को तुम
जिद्दत कहो हसीन अदाओं का नाम दो

दहशत-गरी जहाँ ये पनपती है रात दिन
संतों का मुँह कहो कि गुफाओं का नाम दो

इस में घुटन है ज़हर है गर्द-ओ-ग़ुबार है
फिर भी इसे शगुफ़्ता फ़ज़ाओं का नाम दो

डूबे थे फिर भी साफ़ निकल आए ऐ 'लतीफ़'
इस को अदा कहो कि दुआओं का नाम दो

  - Lateef Ahmad Subhani

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lateef Ahmad Subhani

As you were reading Shayari by Lateef Ahmad Subhani

Similar Writers

our suggestion based on Lateef Ahmad Subhani

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari