aks-dar-aks hai chehron ki numoodaari se
aaina dekhte hain log bhi be-zaari se
phir bhi ilzaam kai aa gaye sar par apne
main gurezaan to raha waqt ki ayyaari se
bugz hai hirs hai ghaibat hai riya-kaari hai
jis qadar bhi ho raho door hi beemaari se
bat ke rah jaata hai insaan kai hisson mein
mashghale paida ajab hote hain bekaari se
be-sabab girta nahin aadmi nazaron se kabhi
bad-kalaami ke sabab ya kabhi makkaari se
naa-mukammal hai ghazal gham ki mahaarat ke baghair
husn aata hai kahaan sher'on mein fankaari se
log girveeda mere yoonhi nahin aaj lateef
dil ko jeeta hai ravaabit se rawa-daari se
अक्स-दर-अक्स है चेहरों की नुमूदारी से
आइना देखते हैं लोग भी बे-ज़ारी से
फिर भी इल्ज़ाम कई आ गए सर पर अपने
मैं गुरेज़ाँ तो रहा वक़्त की अय्यारी से
बुग़्ज़ है हिर्स है ग़ीबत है रिया-कारी है
जिस क़दर भी हो रहो दूर ही बीमारी से
बट के रह जाता है इंसान कई हिस्सों में
मश्ग़ले पैदा अजब होते हैं बेकारी से
बे-सबब गिरता नहीं आदमी नज़रों से कभी
बद-कलामी के सबब या कभी मक्कारी से
ना-मुकम्मल है ग़ज़ल ग़म की महारत के बग़ैर
हुस्न आता है कहाँ शे'रों में फ़नकारी से
लोग गिरवीदा मिरे यूँही नहीं आज 'लतीफ़'
दिल को जीता है रवाबित से रवा-दारी से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lateef Ahmad Subhani
our suggestion based on Lateef Ahmad Subhani
As you were reading Aaina Shayari Shayari