meri judaai mein aansu bahaaye jaate hain | मिरी जुदाई में आँसू बहाए जाते हैं

  - Laxmi Narayan Farigh

meri judaai mein aansu bahaaye jaate hain
ye fitna meri lahd par jagaae jaate hain

ziya-e-husn ko dargaah-e-dil tarasti hai
charaagh dair-o-haram mein jalaae jaate hain

nahin sataate kisi ko bhi jo zamaane mein
wahi zamaane mein akshar sataaye jaate hain

ziya-e-husn se hota hai jin ka dil maamoor
charaagh gor par un ki jalaae jaate hain

fasaanon se nahin banteen haqeeqaten lekin
haqeeqaton se fasaane banaaye jaate hain

kahi ghuroor takabbur kahi futuur-e-khudi
hamaari raah mein rehzan bithaaye jaate hain

adab ki mehfil-e-rangeen mein raat-din faarigh
mere fasaane hi akshar sunaaye jaate hain

मिरी जुदाई में आँसू बहाए जाते हैं
ये फ़ित्ना मेरी लहद पर जगाए जाते हैं

ज़िया-ए-हुस्न को दरगाह-ए-दिल तरसती है
चराग़ दैर-ओ-हरम में जलाए जाते हैं

नहीं सताते किसी को भी जो ज़माने में
वही ज़माने में अक्सर सताए जाते हैं

ज़िया-ए-हुस्न से होता है जिन का दिल मामूर
चराग़ गोर पर उन की जलाए जाते हैं

फ़सानों से नहीं बनतीं हक़ीक़तें लेकिन
हक़ीक़तों से फ़साने बनाए जाते हैं

कहीं ग़ुरूर तकब्बुर कहीं फ़ुतूर-ए-ख़ुदी
हमारी राह में रहज़न बिठाए जाते हैं

अदब की महफ़िल-ए-रंगीं में रात-दिन 'फ़ारिग़'
मिरे फ़साने ही अक्सर सुनाए जाते हैं

  - Laxmi Narayan Farigh

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Laxmi Narayan Farigh

As you were reading Shayari by Laxmi Narayan Farigh

Similar Writers

our suggestion based on Laxmi Narayan Farigh

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari