dard jab dil mein samaa jaata hai | दर्द जब दिल में समा जाता है

  - Laxmi Narayan Farigh

dard jab dil mein samaa jaata hai
lazzat-e-zeest badha jaata hai

khoon-e-maasoom se deewaron par
gham ka afsaana likha jaata hai

ab to har jazba-e-bebaak ka bhi
hausla past hua jaata hai

jaane kyun mujh ko haya aati hai
vaar jab un ka khata jaata hai

gham-e-ayyaam ka har ik manzar
shiddat-e-dard badha jaata hai

rafta rafta dil-e-deewaana bhi
mahram-e-raaz hua jaata hai

be-gunaahon ka bhi ab to faarigh
jeena dushwaar hua jaata hai

दर्द जब दिल में समा जाता है
लज़्ज़त-ए-ज़ीस्त बढ़ा जाता है

ख़ून-ए-मासूम से दीवारों पर
ग़म का अफ़्साना लिखा जाता है

अब तो हर जज़्बा-ए-बेबाक का भी
हौसला पस्त हुआ जाता है

जाने क्यूँ मुझ को हया आती है
वार जब उन का ख़ता जाता है

ग़म-ए-अय्याम का हर इक मंज़र
शिद्दत-ए-दर्द बढ़ा जाता है

रफ़्ता रफ़्ता दिल-ए-दीवाना भी
महरम-ए-राज़ हुआ जाता है

बे-गुनाहों का भी अब तो 'फ़ारिग़'
जीना दुश्वार हुआ जाता है

  - Laxmi Narayan Farigh

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Laxmi Narayan Farigh

As you were reading Shayari by Laxmi Narayan Farigh

Similar Writers

our suggestion based on Laxmi Narayan Farigh

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari