rah-e-hayaat mein vo bhi maqaam aayega | रह-ए-हयात में वो भी मक़ाम आएगा

  - Laxmi Narayan Farigh

rah-e-hayaat mein vo bhi maqaam aayega
yagaana kaam na begaana kaam aayega

suroor-e-badaa-e-ranj-o-gham-e-hayaat kabhi
na kaam aaya kisi ke na kaam aayega

hamaari zindagi-e-mukhtasar ka sarmaaya
hamaare ba'ad zamaane ke kaam aayega

badal chuki hai fazaa ab nizaam-e-aalam ki
na kaam daana kisi ke na daam aayega

yaqeen hai tishna-labon ko ki un ki mehfil mein
vo jab bhi aayega badaa-b-jaam aayega

vo jis ki yaad sataati hai raat-din faarigh
na qibl-e-subh na vo ba'd-e-shaam aayega

रह-ए-हयात में वो भी मक़ाम आएगा
यगाना काम न बेगाना काम आएगा

सुरूर-ए-बादा-ए-रंज-ओ-ग़म-ए-हयात कभी
न काम आया किसी के न काम आएगा

हमारी ज़िंदगी-ए-मुख़्तसर का सरमाया
हमारे बा'द ज़माने के काम आएगा

बदल चुकी है फ़ज़ा अब निज़ाम-ए-आलम की
न काम दाना किसी के न दाम आएगा

यक़ीं है तिश्ना-लबों को कि उन की महफ़िल में
वो जब भी आएगा बादा-ब-जाम आएगा

वो जिस की याद सताती है रात-दिन 'फ़ारिग़'
न क़ब्ल-ए-सुब्ह न वो बा'द-ए-शाम आएगा

  - Laxmi Narayan Farigh

Faith Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Laxmi Narayan Farigh

As you were reading Shayari by Laxmi Narayan Farigh

Similar Writers

our suggestion based on Laxmi Narayan Farigh

Similar Moods

As you were reading Faith Shayari Shayari