khata anjaam ho kar rah gaya hai | ख़ता अंजाम हो कर रह गया है

  - Laxmi Narayan Farigh

khata anjaam ho kar rah gaya hai
bashar naakaam ho kar rah gaya hai

tira milna baqaid-e-zindagaani
khayaal-e-khaam ho kar rah gaya hai

fareb-e-etibaar-e-sai-e-paiham
mera anjaam ho kar rah gaya hai

har ik unwaan biyaaz-e-aarzoo ka
tira paighaam ho kar rah gaya hai

dil-e-naakaam ka har daagh-e-hasrat
savaad-e-shaam ho kar rah gaya hai

wafa ka naam faarigh is jahaan mein
baraae-naam ho kar rah gaya hai

ख़ता अंजाम हो कर रह गया है
बशर नाकाम हो कर रह गया है

तिरा मिलना बक़ैद-ए-ज़िंदगानी
ख़याल-ए-ख़ाम हो कर रह गया है

फ़रेब-ए-ए'तिबार-ए-सई-ए-पैहम
मिरा अंजाम हो कर रह गया है

हर इक उनवाँ बयाज़-ए-आरज़ू का
तिरा पैग़ाम हो कर रह गया है

दिल-ए-नाकाम का हर दाग़-ए-हसरत
सवाद-ए-शाम हो कर रह गया है

वफ़ा का नाम 'फ़ारिग़' इस जहाँ में
बराए-नाम हो कर रह गया है

  - Laxmi Narayan Farigh

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Laxmi Narayan Farigh

As you were reading Shayari by Laxmi Narayan Farigh

Similar Writers

our suggestion based on Laxmi Narayan Farigh

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari