jahaan waalon se barti is qadar be-gaangi main ne
ki barham kar liya apna nizaam-e-zindagi main ne
sikhaaye husn-e-kaafir ko saleeqe khud-numaai ke
sanwaara pai-b-pai apna mazaq-e-aashiqi main ne
hue raushan na phir bhi baam-o-dar fikr-o-tasavvur ke
hazaaron baar ki bazm-e-jahaan mein raushni main ne
dil-e-na-aqibat-andesh ki kotaah-beeni ki
kabhi taaid ki main ne kabhi tardid ki main ne
hazaaron baar tahzeeb-o-tamaddun ki fazaa badli
hazaaron baar ik duniya nayi aabaad ki main ne
kya ifshaa na raaz-e-gham kisi par jeete-ji faarigh
bade sabr-o-tahammul se basar ki zindagi main ne
जहाँ वालों से बरती इस क़दर बे-गानगी मैं ने
कि बरहम कर लिया अपना निज़ाम-ए-ज़िंदगी मैं ने
सिखाए हुस्न-ए-काफ़िर को सलीक़े ख़ुद-नुमाई के
सँवारा पै-ब-पै अपना मज़ाक़-ए-आशिक़ी मैं ने
हुए रौशन न फिर भी बाम-ओ-दर फ़िक्र-ओ-तसव्वुर के
हज़ारों बार की बज़्म-ए-जहाँ में रौशनी मैं ने
दिल-ए-ना-आक़िबत-अंदेश की कोताह-बीनी की
कभी ताईद की मैं ने कभी तरदीद की मैं ने
हज़ारों बार तहज़ीब-ओ-तमद्दुन की फ़ज़ा बदली
हज़ारों बार इक दुनिया नई आबाद की मैं ने
क्या इफ़शा न राज़-ए-ग़म किसी पर जीते-जी 'फ़ारिग़'
बड़े सब्र-ओ-तहम्मुल से बसर की ज़िंदगी मैं ने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Laxmi Narayan Farigh
our suggestion based on Laxmi Narayan Farigh
As you were reading Raushni Shayari Shayari