bisaat-e-rang-o-boo aatish-fishaan maaloom hoti hai | बिसात-ए-रंग-ओ-बू आतिश-फ़िशाँ मालूम होती है

  - Laxmi Narayan Farigh

bisaat-e-rang-o-boo aatish-fishaan maaloom hoti hai
rag-e-gul mein nihaan barq-e-tapaan maaloom hoti hai

tamannaa hi se qaaim hai waqar-e-naujawaani bhi
tamannaa garche jins-e-raayegaan maaloom hoti hai

kinaara hai koi is ka na is ka koi saahil hai
mohabbat ek bahr-e-be-karan maaloom hoti hai

guzishta waardaaton par main jab bhi ghaur karta hoon
mujhe har waardaat ik dastaan maaloom hoti hai

wafa-koshi ka jazba sard pad jaata hai peeri mein
wafa parvarda-e-fikr-e-jawaan maaloom hoti hai

asar baaki abhi tak hai nigaahon mein jawaani ka
mujhe har ek shay ab bhi jawaan maaloom hoti hai

jafa-o-jaur ke qisse hain ab bhi mo'tabar faarigh
wafa ki baat zeb-e-daastaan maaloom hoti hai

बिसात-ए-रंग-ओ-बू आतिश-फ़िशाँ मालूम होती है
रग-ए-गुल में निहाँ बर्क़-ए-तपाँ मालूम होती है

तमन्ना ही से क़ाएम है वक़ार-ए-नौजवानी भी
तमन्ना गरचे जिंस-ए-राएगाँ मालूम होती है

किनारा है कोई इस का न इस का कोई साहिल है
मोहब्बत एक बहर-ए-बे-कराँ मालूम होती है

गुज़िश्ता वारदातों पर मैं जब भी ग़ौर करता हूँ
मुझे हर वारदात इक दास्ताँ मालूम होती है

वफ़ा-कोशी का जज़्बा सर्द पड़ जाता है पीरी में
वफ़ा परवर्दा-ए-फ़िक्र-ए-जवाँ मालूम होती है

असर बाक़ी अभी तक है निगाहों में जवानी का
मुझे हर एक शय अब भी जवाँ मालूम होती है

जफ़ा-ओ-जौर के क़िस्से हैं अब भी मो'तबर 'फ़ारिग़'
वफ़ा की बात ज़ेब-ए-दास्ताँ मालूम होती है

  - Laxmi Narayan Farigh

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Laxmi Narayan Farigh

As you were reading Shayari by Laxmi Narayan Farigh

Similar Writers

our suggestion based on Laxmi Narayan Farigh

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari