dikhlaayen kis maze se ab ke bahaar holi | दिखलाएँ किस मज़े से अब के बहार होली

  - Lutfunnisa Imtiyaz

dikhlaayen kis maze se ab ke bahaar holi
khele hain sab jam'a ho kya gul-ezaar holi

saari pari-rukhaan mil kaisi machaayein dhoomen
rang zard surkh le kar khelen nigaar holi

sone ki thaaliyon mein rakh kar abeer-o-abrak
bhar mootiyaan mein fenke kar ke pukaar holi

sheeshon mein zaafaraan ka rang-e-shabaab bhar kar
oopar se qahqahon ke hai baar baar holi

दिखलाएँ किस मज़े से अब के बहार होली
खेले हैं सब जम्अ' हो क्या गुल-एज़ार होली

सारी परी-रुख़ाँ मिल कैसी मचाएँ धूमें
रंग ज़र्द सुर्ख़ ले कर खेलें निगार होली

सोने की थालियों में रख कर अबीर-ओ-अब्रक
भर मूठियाँ में फेंके कर के पुकार होली

शीशों में ज़ाफ़राँ का रंग-ए-शबाब भर कर
ऊपर से क़हक़हों के है बार बार होली

  - Lutfunnisa Imtiyaz

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lutfunnisa Imtiyaz

As you were reading Shayari by Lutfunnisa Imtiyaz

Similar Writers

our suggestion based on Lutfunnisa Imtiyaz

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari