hai dil-e-ushshaq tere jaam-o-meena bin kharab
rehm kar is waqt par saaqi piyaala de shitaab
kya hi na-khush ho raha dil kuchh kaha jaata nahin
abr aave jhoom aisa na mile qatra sharaab
waizaa maston ka dil haiga khuda ka ghar sariih
tod mat us ke tai sang-sitam se kar azaab
hain jahaan tak shajar-e-duniya sab ho jaaven taak ke
ya-ilaahi hai dua gar aashiqon ki mustajaab
muntazir ho kar khada hai imtiyaaz aa zer-e-qasr
ik nigaah-e-lutf farma ai shah-e-waala janab
है दिल-ए-उश्शाक़ तेरे जाम-ओ-मीना बिन ख़राब
रहम कर इस वक़्त पर साक़ी पियाला दे शिताब
क्या ही ना-ख़ुश हो रहा दिल कुछ कहा जाता नहीं
अब्र आवे झूम ऐसा ना मिले क़तरा शराब
वाइज़ा मस्तों का दिल हैगा ख़ुदा का घर सरीह
तोड़ मत उस के तईं संग-सितम से कर अज़ाब
हैं जहाँ तक शजर-ए-दुनिया सब हो जावें ताक के
या-इलाही है दुआ गर आशिक़ों की मुस्तजाब
मुंतज़िर हो कर खड़ा है 'इम्तियाज़' आ ज़ेर-ए-क़स्र
इक निगाह-ए-लुत्फ़ फ़रमा ऐ शह-ए-वाला जनाब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lutfunnisa Imtiyaz
our suggestion based on Lutfunnisa Imtiyaz
As you were reading Duniya Shayari Shayari