ek hon naalaan qafas mein haaye ai bulbul khamosh
sun tira awaaz aur sehra hua hai sabz-posh
de piyaala ab tu saaqi kuchh nahin dhadka raha
waizaa kah mohtasib se ham hue hain jaam-nosh
hai yahi dahshat mabaada ye jo bhaave khalk koon
be-tarah darya-e-dil ko ab mere aaya hai josh
ai khumaar-aalooda dil jaanaan ke sanmukh samhaliyo
husn ke bazaar mein rakhta vo aankhen may-farosh
har ghadi har aan dil mein imtiyaaz ab yaad kar
waqia ko karbala ke la nazar mein kar kharosh
एक हों नालाँ क़फ़स में हाए ऐ बुलबुल ख़मोश
सुन तिरा आवाज़ और सहरा हुआ है सब्ज़-पोश
दे पियाला अब तू साक़ी कुछ नहीं धड़का रहा
वाइज़ा कह मोहतसिब से हम हुए हैं जाम-नोश
है यही दहशत मबादा ये जो भावे ख़ल्क़ कूँ
बे-तरह दरिया-ए-दिल को अब मिरे आया है जोश
ऐ ख़ुमार-आलूदा दिल जानाँ के सन्मुख सम्हलियो
हुस्न के बाज़ार में रखता वो आँखें मय-फ़रोश
हर घड़ी हर आन दिल में 'इम्तियाज़' अब याद कर
वाक़िआ' को कर्बला के ला नज़र में कर ख़रोश
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lutfunnisa Imtiyaz
our suggestion based on Lutfunnisa Imtiyaz
As you were reading Kamar Shayari Shayari