dasht-e-vahshat mein hamaara ab hua hai bood-o-baash
sar firaane ko abas sayyaad karta hai talash
sarzanish aalam ki aur sang-e-jafa tere se aah
shaayad ab meena-e-dil hota hai zalim paash paash
ye abhi pal mein tujhe barbaad kar den mohtasib
dekh naahak may-kashon ke bhed ko karta hai faash
yun dimaagh ab kis ka yaari de jo shaayad kijie
paas ja muna'im ke baithe jo kabhi bahr-e-maash
she'r kehne ka saleeqa kuchh nahin hai imtiyaaz
hai magar itna ki ye rakhta hai tuk gham ka taraash
दश्त-ए-वहशत में हमारा अब हुआ है बूद-ओ-बाश
सर फिराने को अबस सय्याद करता है तलाश
सरज़निश आलम की और संग-ए-जफ़ा तेरे से आह
शायद अब मीना-ए-दिल होता है ज़ालिम पाश पाश
ये अभी पल में तुझे बर्बाद कर दें मोहतसिब
देख नाहक़ मय-कशों के भेद को करता है फ़ाश
यूँ दिमाग़ अब किस का यारी दे जो शायद कीजिए
पास जा मुनइ'म के बैठे जो कभी बहर-ए-मआश
शे'र कहने का सलीक़ा कुछ नहीं है 'इम्तियाज़'
है मगर इतना कि ये रखता है टुक ग़म का तराश
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lutfunnisa Imtiyaz
our suggestion based on Lutfunnisa Imtiyaz
As you were reading Afsos Shayari Shayari