tamaam shab ki dukhan be-kali subuk khwaabi
numood-e-subh ko darmaan samajh ke kaatee hai
ragon mein daudte firte lahu ki har aahat
ajl-girifta khayaalon ko aas deti hai
magar vo aankh jo sab dekhti hai
hansati hai
ufuq se subh ki pehli kiran ubharti hai
tamaam raat ki fariyaad ik sukoot mein chup
tamaam shab ki dukhan be-kali subuk-khwaabi
hareeri pardo ki khaamosh silvaton mein gum
jo aankh zinda thi
khaamosh chat ko takti hai
aur ek aankh jo sab dekhti hai
hasi
numood-e-subh ki zartaar raushni ke saath
mehakte phool dariche se jhaank kar dekhen
tu mez dar pe kisi dard ka nishaan na mile
ugaaldaan davaaon ki sheeshiyaan pankha
kunvaari maa ka tabassum saleeb awezaan
har ek cheez b-dastoor apni apni jagah
naye mareez ki aamad ka intizaar kare
aur ek aankh jo sab dekhti hai
hansati rahe
तमाम शब की दुखन, बे-कली, सुबुक ख़्वाबी
नुमूद-ए-सुब्ह को दरमाँ समझ के काटी है
रगों में दौड़ते फिरते लहू की हर आहट
अजल-गिरफ़्ता ख़यालों को आस देती है
मगर वो आँख जो सब देखती है
हँसती है
उफ़ुक़ से सुब्ह की पहली किरन उभरती है
तमाम रात की फ़रियाद इक सुकूत में चुप
तमाम शब की दुखन, बे-कली, सुबुक-ख़्वाबी
हरीरी पर्दों की ख़ामोश सिलवटों में गुम
जो आँख ज़िंदा थी
ख़ामोश छत को तकती है
और एक आँख जो सब देखती है
हँसी
नुमूद-ए-सुब्ह की ज़रतार रौशनी के साथ
महकते फूल दरीचे से झाँक कर देखें
तू मेज़ दर पे किसी दर्द का निशाँ न मिले
उगालदान दवाओं की शीशियाँ पंखा
कुँवारी माँ का तबस्सुम, सलीब आवेज़ां
हर एक चीज़ ब-दस्तूर अपनी अपनी जगह
नए मरीज़ की आमद का इंतिज़ार करे
और एक आँख जो सब देखती है
हँसती रहे.
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Mahmood Ayaz
As you were reading Ummeed Shayari Shayari