tum ne mujh se | तुम ने मुझ से

  - Mahmood Ayaz

tum ne mujh se
koi iqraar‌‌‌‌-e-rifaqat na kiya
ye na kaha
tum se bichhad jaaun to zinda na rahoon
main ne tumhein
zeest ka sarmaaya
mera haasil-e-yak-umr-e-tamannaa na kaha
is qadar jhooth se dahshat-zada the ham
ki koi sach na kaha

main ne bas itna kaha
dekho ham aur tum is aag ka hissa hain
jo khaashaak ki maanind jalaati hai hamein
tum ne bas itna kaha
dekho is aag mein ham dono akela bhi hain
saathi bhi hain
aur ham karte rahe umr-e-mah-o-saal ke zakhamon ka shumaar
kahkashaan feeki hai kuchh der ka mehmaan hai chaand
doobti raat mein dhalti hue saaye chup hain
meri shiryaano'n mein yakh-basta lahu hairaan hai
avvaleen qurb ki ye aanch kahaan se aayi

ajnabi kaise kahoon
tum to mere dil ke nihaan-khaane mein soye hue har khwaab ka chehra nikle

तुम ने मुझ से
कोई इक़रार‌‌‌‌-ए-रिफ़ाक़त न किया
ये न कहा
तुम से बिछड़ जाऊँ तो ज़िंदा न रहूँ
मैं ने तुम्हें
ज़ीस्त का सरमाया
मिरा हासिल-ए-यक-उम्र-ए-तमन्ना न कहा
इस क़दर झूट से दहशत-ज़दा थे हम
कि कोई सच न कहा

मैं ने बस इतना कहा
देखो हम और तुम इस आग का हिस्सा हैं
जो ख़ाशाक की मानिंद जलाती है हमें
तुम ने बस इतना कहा
देखो इस आग में हम दोनों अकेले भी हैं
साथी भी हैं
और हम करते रहे उम्र-ए-मह-ओ-साल के ज़ख़्मों का शुमार
कहकशाँ फीकी है कुछ देर का मेहमान है चाँद
डूबती रात में ढलते हुए साए चुप हैं
मेरी शिरयानों में यख़-बस्ता लहू हैराँ है
अव्वलीं क़ुर्ब की ये आँच कहाँ से आई

अजनबी कैसे कहूँ
तुम तो मिरे दिल के निहाँ-ख़ाने में सोए हुए हर ख़्वाब का चेहरा निकले

  - Mahmood Ayaz

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Mahmood Ayaz

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari